The Complete Guide to Motorola G32: Specifications, Features, and Pricing. Tech enthusiasts! Aaj hum aapko lekar ja rahe hain ek safar Motorola G32 ke saath, jahan hum aapko batayenge is phone ki specifications, features aur pricing ke baare mein. Agar aap ek budget-friendly smartphone mein advanced features aur performance dhundh rahe hain, toh Motorola G32 aapka favourite ho sakta hai. 1.Design aur Build Quality: Motorola G32 Ek bahut Premium smartphone hai jiski Build Quality aur Design impressive hai jo Is smartphone ko khubsurat banata hai to chaliye jante hai is Smartphone ki design aur build quality ke bare me. A)Elegant Design: Motorola G32 ka design simple aur elegant hai, jo aapko ek modern look deta hai. Iska slim profile aur curved edges aapke haath mein comfortable fit hota hai, jisse aapko hold karne mein aasaani hoti hai. Ye phone lightweight hai, isliye aapko long usage mein bhi comfort milega. B)Quality Build: Is smartphone ki build quality reliable aur sturdy hai. Aap...
Top 5 best Budgets phones in India.
Hello,dosto aaj ham apko batane wale hai
Ki apko agar budget me mobile chaiye to
Apko kaunsa mobile le na chaiye aur is
Post ko pura padiye aur ise Apne dosto me
Share kariye aur hamare blog ko subscribe
Kijiye to chailiye shuru karte hai.
1)Realme C1
Agar apko budget me mobile chaiye to apke liye Realme c1 bahut khas rahenga.
Iske features ke bare me kahe to ye phone apko 2GB ram ke sath ata hai.aur rom ki baat ki Jaye to iski rom 16GB hai.aur iska storage lagbhag 256GB Tak Expand karta hai.
Agar baat ki Jaye iske size ke bare me to ye
15.75cm yani 6.2 inches ka hai.Hd+Display ke sath.
Ab baat karte hai iske camera ki to apko Bata de isme apko 3 camera mil jayenge.
Back camera 13MP+2MP ke hai.aur front camera 5MP ka hai.
Apko Bata de ki is Realme c1 ki li-lion battery 4230mAh ki hai Jo kafi jayada hai.
Agar baat Kare is mobile ke processer ki to vo hai Qualcomm Snapdragon 450 Octacore
1.8Ghz processer hai aur saat me apko face unlock bhi Diya Gaya hai.is varient me fingerprint sensor nahi hai but apko face unlock Diya Gaya hai Jo kafi bethar hai.
Iske price ki Baat ki Jaye to ye apko Flipkart par 6,999 me mil jayenga
2)Realme C2
Hamare list me dusra phone Realme C2 hai.
Jo apko 2GB ram aur 32GB rom ke sath milta hai.
Agar iske storage ki baat ki Jaye to ye apko 256GB Expandable store Kar sakta hai.
Size ke bare me kaha Jaye to 15.49cm hai yani 6.1 inch Jo Realme C1 se size me Chota hai.aur ye HD+Display ke sath ata hai.
Ab ate hai iske camera par Jo 13MP+2MP back hai aur 5MP front camera hai.
Agar apko battery backup Wala mobile chaiye to apke liye ye mobile best hai kyuki iski battery 4000mAh hai Jo pura din chalne ke liye kafi hai.
Is varient me apko media Tek p22 Octacore
2.0Ghz processer milega.
Apko is mobile me dual nano SIM aur memory slot sath milega aur price ki Baat ki Jaye to ye apko 5,999 me mil jayenga.
3)Redmi 8
Apko Bata de ke xioami ne Hal hi me is naye phone ko launch Kiya hai aur iske zabardast features apko majbur Kar denge ye phone lene ke liye.
Agar baat Kare to apko ye mobile 4GB ram aur 64GB rom ke sath milta hai.baat Kare iske storage ki to 512GB expandable storage ke sath apko milta hai.
Aur iski size 15.8 cm hai yani 6.22 inch HD+Display ke sath milta hai.camera ki baat kahe to apko back camera 12MP+2MP aur front camera 8MP ka hai.
Battery ki bat ki Jaye to apko Kamal ka battery backup milta hai Jo 5000mAh ka hai aur processer ki baat Kare to apko Diya Gaya hai Qualcomm Snapdragon 439 processer hai Jo thoda Kam hai par price bhi 8,000 hai Jo bhi kafi budget me hai.
4)Redmi 8A
Redmi 8A ye bhi kafi accha phone hai.jo apko budget me mil jata hai apko Bata de
Ke is phone ko kafi logo ne pasand Kiya hai.features ke bare me bataye to apko ye phone 2GB ram aur 32GB rom ke sath mil jata hai aur iske storage ki bat Kare to ye 512GB Tak Expand kar sakti hai.
Ab bat karte hai iske size ki to ye 15.8 cm yani 6.22 inch ka hai aur HD+Display ke sath ata hai.aur iska camera 12MP back aur 8MP front hai jisse ap kafi shandaar photo click Kar sakte ho.
Aur jaha Tak battery ki baat Kare to vo 5000mAh hai Jo bahut hai apke din bhar ke liye.
Aur processer Qualcomm Snapdragon 439 hai aur iska price hai 6,499 Jo kafi budget me hai.
5)Redmi note 7s
Xioami ka ye phone bhi apke budget me fit honga feature ki baat Kare to 4GB ram aur 64GB rom ke sath aap isme pubg ka maza utha sakte ho aur iska storage 256GB Tak Expand karta hai.
Agar iske size ki baat ki Jaye to 16.0 yani 6.3 inch aur FHD+Display xioami apko provide karta hai camera ki baat Kare to 48MP+5MP
Back aur 13MP front camera milta hai.
Battery ki bat Kare to 4000mAh ki apko battery mil jati hai processer ki baat kare to Qualcomm Snapdragon 660 Air processer mil jata hai.splash proof Protected by P2i Quick charge 4.0 support price bhi kafi bahater hai 9,999 Jo budget me hai.
Ye the Top 5 budget phone ki list apko kaunsa pasand hai hame comment karke bataye aur hamare blog ko follow jarur Kare.
Ap ko kaun sa accha laga comment karke bataye
जवाब देंहटाएं