The Complete Guide to Motorola G32: Specifications, Features, and Pricing. Tech enthusiasts! Aaj hum aapko lekar ja rahe hain ek safar Motorola G32 ke saath, jahan hum aapko batayenge is phone ki specifications, features aur pricing ke baare mein. Agar aap ek budget-friendly smartphone mein advanced features aur performance dhundh rahe hain, toh Motorola G32 aapka favourite ho sakta hai. 1.Design aur Build Quality: Motorola G32 Ek bahut Premium smartphone hai jiski Build Quality aur Design impressive hai jo Is smartphone ko khubsurat banata hai to chaliye jante hai is Smartphone ki design aur build quality ke bare me. A)Elegant Design: Motorola G32 ka design simple aur elegant hai, jo aapko ek modern look deta hai. Iska slim profile aur curved edges aapke haath mein comfortable fit hota hai, jisse aapko hold karne mein aasaani hoti hai. Ye phone lightweight hai, isliye aapko long usage mein bhi comfort milega. B)Quality Build: Is smartphone ki build quality reliable aur sturdy hai. Aap...
Yeh hai India ke top 4 mobiles Jo apko pasand ayenge.
#dosto aaj ham apko batane wale hai India ke top 4 mobiles ke bare me to last Tak bane
Rahiye aur hamare blog ko follow karke subscribe jarur Kare take regular update sabse pehle apko mile to chailiye shuru karte hai.
Rahiye aur hamare blog ko follow karke subscribe jarur Kare take regular update sabse pehle apko mile to chailiye shuru karte hai.
1)Realme 3 pro
#apko Bata de ke realme company Apna profit nahi balke logo ke liye Kam se Kam dam me mobile kaise launch Kare ye sochti hai aur Realme phones me apko Kam price me acche features mil jate hai isi liye Maine Realme ko apne list me pehle number par rakha hai.
1)sabse pehle ham baat Kare agar iske ram ki to vo apko 4GB mil jati hai aur rom 64GB ki milti hai aur iski expandable storage apko 256GB Tak mil jati hai.
2)Agar baat Kare iske size ki to vo apko 16.0 cm ki milti hai agar isko inch me convert Kare to vo hai 6.3 inches ka aur sath me apko FHD+Display bhi milta hai.
3)agar ham baat Kare iske camera ki to back camera apko 16MP+5MP aur front camera ki kahe to apko 25MP front camera milta hai aur agar ham baat Kare iske battery ki to 4045mAh battery mil jati hai.
4)Agar baat Kare iske processer ki to apko Qualcomm Snapdragon 710 Octa core 2.2 GHz AIE processer mil jata hai aur iske Sath hi apko fingerprint sensor bhi milta hai.
5)Apko is varient me vooC flash charge 3.0 Jo 80 minutes me apka mobile full charge karta hai aur dual nano SIM slot aur memory card slot bhi milta hai.
6)agar ham baat Kare iske price ke bare me to apko ye varient sirf 9,999 Indian rupees me milta hai aur apko agar ye mobile Lena hai to ye apko Flipkart par asani se mil jayenga
2)Realme 3
1)Agar ham baat Kare is mobile ke ram ki to apko 3GB ram mil jati hai aur rom 32GB milti hai aur expandable storage ki baat Kare to vo apko 256GB mil jati hai.
2)Agar baat Kare is mobile ke size ki to 15.8 cm agar ise inch me convert Kare to ye 6.22 inches hota hai aur iske Sath me apko FHD+Display bhi mil jata hai is mobile me Jo apke mobile ko shandar look denga.
3)Agar ham baat Kare is mobile ke camera ki to 13MP+2MP back camera aur front camera ki baat Kare to vo 13MP ka milta hai aur baat Kare is mobile ke battery ki to vo apko 4230mAh ki battery bhi mil jati hai.
4)Agar baat Kare is mobile ke processer ki to vo Media Tek Helio P70 Octa core 2.1 GHz Al processer mil jata hai aur sath hi apko isme Triple slots(Dual SIM+Memory card) available hai.
5)Apko sath hi isme fingerprint sensor aur face unlock dono features mil jate hai aur agar baat Kare is mobile ke price ki to vo hai 7,999 Indian rupees aur agar apko ye mobile Lena hai to apko Flipkart par available hai.
3)Nokia 6.1 plus
1)Agar baat Kare is mobile ke ram ki to vo apko milti hai 4GB ram aur 64GB rom ke sath aur expandable storage ki baat Kare to vo apko 400GB ka milti hai.
2)Agar baat Kare is mobile ke size ki to vo apko 14.73 cm agar isko inches me kahe to 5.8 inche ka hai Jo dusre mobiles ke muqable Kam hai par sahi hai zyada Kam bhi nahi hai aur sath hi FHD+Display bhi hai.
3)agar camera ki baat Kare to Is mobile me 16MP+5MP back camera aur 16MP front camera milta hai aur sath hi baat Kare battery ki to 3060 mAh ki battery milti hai.
4) processer ki baat Kare to is mobile me apko Qualcomm Snapdragon 636 Octa core processer mil jata hai aur sath me fingerprint sensor bhi milta hai.
5)Ab ate hai main baat par ki is mobile ki price Kya hai to apko Bata de ki ye mobile apko 8,999 rs me apko milenga aur agar apko ye mobile Lena hai to apko ye Flipkart par available hai.
4)Asus Zenfone max M2
1)Sabse pehle baat Kare ram ki to is mobile me apko 4GB ram aur 64GB rom mil jati hai expandable storage ki baat Kare to 2 TB ka storage hai is varient me Jo bahut hai.
2)Agar size ki baat Kare to apko 15.9 cm hai inches me agar kahe to 6.26 inches ka hai aur isme apko HD+Display bhi mil jata hai.
3)Agar baat Kare is mobile ke camera ki to back camera apko 13MP+2MP ka aur front camera ki baat Kare to vo apko 8MP ka mil jata hai aur sath me agar baat Kare iske battery ki to apko 4000mAh ki mil jati hai.
4)baat Kare is mobile ke processer ki to vo Qualcomm Snapdragon 632 Octa core processer hai aur sath hi baat Kare iske price ki to is mobile ka price hai 9,499 RS aur agar apko ye mobile Lena hai to apko ye Flipkart par available hai.
Agar apko ye hamari post pasand ayi ho to ise share Kare aur hamare blog ko follow aur subscribe karna na bhule take regular update apko mil sake aur hamare Facebook page ko bhi like Kare link niche de raha hu
https://www.facebook.com/111537940257271/posts/129890341755364/?app=fbl like jarur Kare aur follow Kare.
Share the post and follow and subscribe the blog
जवाब देंहटाएं